Manqabat - 3

See Video Below and Scroll Down For Lyrics

Ali (as) Murdon Ko Jilaye

Ali (as) Suraj Paltaie

Karishme Dekh Ke Jiske

Zamana Dhoka Khaie

 

Nusairi Samajh Na Paaie,

Khuda Hai Ya Hai Banda

Abutalib (as) Ka Beta

 

Nabi (s.a.w.w.) Ne Sub Ko Rukaya

Gadeer E Kum Me Bataya

Ke Jiska Mai Hun Maula

Ali (as) Hai Uska Maula

 

Gadire Kum Ka Dulha

Abutalib (as) Ka Beta

 

Nasab Kutch Aaisa Paya

Nabi (s.a.w.w.) Ne Beti Dedi

Shab e Hijrat Jo Soya

Khuda Ne Marzi Dedi

 

Sharaf Ka Arsh e Moal la

Abutalib (as) Ka Beta

 

Jo Inse Bugz Rakhenga

Badi Mushkil Se Marenga

Yahan Bhi Hath Malenga

Wahan Bhi Hath Malenga

 

Hai, Bakshish Ka Darwaza

Abutalib (as) Ka Beta

 

Ushe Kehte Ho Kafir

Payambar (s.a.w.w.) Ka Jo Chacha Hai

Aai Farzi Baap Ke Beton

Who Sub Kutch Dekh Raha Hai

 

Hai Abb Bhi Gaib Me Baitha

Abutalib (as) Ka Beta

 

Mera Iman Ali (as) Hai

Meri Pehchan Ali (as) Hai

Zamne Walon Sun Lo

Mera Sultan Ali (as) Hai

 

Shahen Shahi Ka Idara

Abutalib (as) Ka Beta

 

Hui Jub Inki Wiladat

Buton Ki Aaie Shamat

Mukad Dar Deen Ka Jaaga

Mili Kabe Ko Taharat

 

Wikare Khanaie Kaba

Abutalib (as) Ka Beta

 

Yahi hai Fatahe Khaibar

Yahi Hai Saqi E Kausar

Yeh Suraj Chand Sitare

Iske, Kadmon ki thokar

 

Fazilat Ka Meenara

Abutalib (as) Ka Beta

 

Mila Jub Male Ganimat

Ikhattha Ho Gai Ummat

Magar Jub Deene Nabi Ko

Padi Hai Khoon Ki Zarurat

 

Nikalkar Saamne Aaya

Abutalib (as) Ka Beta

 

Who Nikla Khaima e Haq Se

Bani Hashim Ka Jiyala

Batati Hai Yeh Jalalat

Bitha Do Kitna Hi Pehra

 

Utha Le Jaaiega Daria

Abutalib (as) Ka Beta

 

Jub Ek Halka Sa Tabassum

Bana  Shamsheer E Jalalat

To Phir Fayyaz Na Jane

Woh  Hongi Kaisi Qayamat

 

Agar Khul Kar Has Deta

Abutalib (as) Ka Beta