Manqabat - 1

Manqabat On Hazrat Abutalib (as)

See The Video Below & Scroll Down For Lyrics

Part 1

Part2

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (as) (4)

 

Nabi Ko Haq Ka, Ilham Hai Abutalib (as)

Areem Me Wahi Me Ilham Hai Abutalib (as)

Nuzule Wahi Ka Unwan Hai Abutalib (as)

Yeh Chun Ke Laaie Jo Khunche Woh Phool Ho Jaaie, Phir Inki God Me Pal Kar Rasool (s) Ho Jaaie

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (as) (2)

 

Rasool E Haq Ke Nigheban Hain Abutalib (as)

Nabi Hai Deen To Eeman Hai Abutalib(as)

Nuzule Wahi Ka Unwan Hain Abutalib(as)

Bagair Lafzon Ka Quran Hain Abutalib(as)

Inhi Ke Dam Se Hui Ibtedaie Bismillah, Inhi Ne Nukta Diya Zere Bya E Bismillah

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (2)

 

Payambari Ki Balao Ka Rad Abutalib(as)

Madad Khuda ki Hai, Shakle Madad Abutalib(as)

Nabi Ki Dhall Bane Gird O Kad Abutalib(as)

Nishana had Me Rasool Aur jad Abutalib(as)

Jidhad Inka Hai Pasmanzre Jihade Ali(as), Ali Hai Baad Me Inke Yeh Pehle Naade Ali(as)

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (2)

 

Kahan Hai Tang Nazar Hum Se Bhi To Aankh Mila

Hai Inke Kufr Ka Daawa To Kutch Suboot Bhi La

Koi To Rasm Jihalat Ki Inke Ghar Me Dikha

Ke Buton Ke Aage Jhuka Inka Sar, Sar Apna Jukha

Khuda Ke Noor Pe O Khakh Daal Ne Wale, Yeh Bukh Shikan Ko Hai Godi Me Paal Ne Wale.

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (as) (2)

 

Rasool (s) Inka Bada Ehteram Karte The

Sawabe Deen Se Tanzeem E Aam Karte The

Sahar Ko Uthte Hi Awwal Yeh Kaam Karte The

Inhe Naamaz Se Pehle Salam Karte The

Ab Rasool (s)  Aur Kisi Kafir Ko Youn Salami Hai, To Phir Zaroor Naboowat Me Koi Khami Hai

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (as)  (2)

 

Na Jaanchieye Yeh Riwayat Na Seeraton Ke Hisar

Nabi Ki Aankh Se Dekhiye Ab Inhe Ekbaar

Yeh Baargahe Risalat Me Aap Ka Tha Wakar

Ke Pachad Kaa Ke Inhe Rooie Ahmed E Mukhtar

Woh Aame Huzn Bana In Ka Jub Risal Hua, Yeh Gam Raool Ke Ummat Me Ek Saal Hua

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (as) (2)

 

Jo Marnewal Gar Iman Bhi Na Laaya Tha

Kya Rasool Ne Kafir Ka Gam Manaya Tha

Ke Khud Bhi Roye The Auro Ko Bhi Rula Tha

Zaban Pe Wa Abata Bar Bar Aaya Tha

Jatadiya Tha Ke Jo Mohsine Risalat Hai,To Usko Rona Rulana Nabi Ki Sunnat Hai

 

Shareeke Dawate Islam Hai Abutalib (as) (2)