Ashar

Ashar 1

Iske Kalaam se hi Risaalat Kaleem hai,

Iska Wajood Husn e Alif Laam Meem hai,

Khud Soch Yeh Rasool Par Kitna Kareem hai,

Had hai ke Yeh na ho to Muhammad (s.a.w.w) Yateem hai.

Ashar 2

Zaat wajib Tera Ehsan hen Abutalib (as)

Frsh pr Arsh k Insan hen Abutalib (as)

Hai Nabi (s) aur Ali (as)  Natiq-e Quran Agr

Ba-Khuda do no ka juzdan hen Abutalib (as)

Ashar 3

Imran (a.s) ke Eman ki Tanveer ke Sadqay

Tanveer Me WAL-FAJR ki Tafseer ke Sadqay

Tafseer Me konain ke Taqdeer ke Sadqay

Taqdeer Me YA-SEEN ki Tehreer ke Sadqay

YA-SEEN ki Tehreer Me israr-e jali  hai

Goya Abutalib (a.s) hi Mohammed (s) hai Aali (a.s) hai

Ashar 4

Mit Jaienge Ek Roz Yeh Imran (as) ke Dushman

Hat Jaienge Gi Maazi Pe Giri Hui Chilman

Ek Roz Mehak Jaienge Insaf Ka Gulshan

Ban Jaienga Uljhi Hui Tareekh Ka madfan

Jo Zehan Mukhalif Hai Woh Nakaam Rahenga

Imran (as) Ka Paala Hua Islam Rahenga

Ashar 5

Noor  e Haq Jis Mein Pala Woh Ghar Abu Talib (as) Ka Hai, 

Ek Imam (as) Ek Paigambar (s.a.w.w.) Abu Talib (as) Ka Hai,

Badar Se Lekar Jahade Karbala Tak Dekhlo,

Khoon Jitna Bhi Baha Hai Haq Par Abu Talib (as) Ka Hai

Ashar 6 

Mumkin Hi Nahi Hashr Talak Deen e Payambar,

Kabay Ke Nigheban Ka Ehsan Bhula de,

Bhikhri Hai Ye Aawaz e Jibraeel Fiza Me,

Islam Ko Kehna Abu Talib (as) Ko Dua de.

Ashar7

Izzat Abu Talib (as) Se, Shohrat Abu Talib (as) Se,

Hum Laaie Hai Likhwakar Qismat Abu Talib (as) Se,

Woh Jis Liye Karte Hai Nafrat Abu Talib (as) se,

Hum Ko Hai Ushi Ba'aes Ulfat Abu Talib (as) se,

Jaan apni  Chali Jaaie Bach Jaaie Mohammed Ke,

Aaie Hai Yeh Haidar (as) Me Aadat Abu Talib (as) se,

Sarwar (s.a.w.w.) Ke Muhafiz The Aur Walid  Haidar (as) ke,

Rakhti Hai Adawat Yun Ummat Abu Talib (as) se,

Jo Aqd Khadija (sa) Aur Sarwar (s.a.w.w.)Ka Padahya Tha,

Khutbe Ki Hui Jari Sunnat Abu Talib (as) se,

Leta Raha Woh Badla Aulade Payambar (sa) Se

Hoti Rahi Jis Jis ko Khiffat Abu Talib (as) Se.